Freelance Jobs

Monday, April 6, 2009

Lal Rang

Main!

Apni duniya me gum tha

Ek Khwaab!

Jahan musurahat thi

Haseen muskuraahat

Chehre par tabassum

Jisne mujhe apni aaghosh me

Dhaanmp rakha tha

Kitni khushnuma thi wo waadi

Kitni seher aamez

Kitni pur fareb


Jahan Dard Gumnaam tha

Hawaen zehen par jadoo chalati thi

isqo aashqi ke naghme sunaati thi

Na jaane kyun aur kab

Kisi ne jaga diya

Mere jismo jaan ko hila diya

Dil par ek nashtar chala diya

Mujhe haqeeqat bata diya


Main pareshaan ek ajnabee ki tarah

Jise dekhta tha

Jahan dekhta tha

Ajeeb lagta tha

Sawal karta tha

Kya yeh wahi duniya hai

Jahan mai jeeta hun

Kaifiyat aisi ke

Sab kuch naya ho

Sab kuch badal sa gaya ho


Meri duniya me

Aashiyan to jale na the

hamsaaye to ghamgeen na the

Tamannaen to luti na theen

Wahan to!

Khushboo thi

Shaadabi thi

Husn tha

Rang tha


Lekin yeh laal rang?

Nahi!

Yeh rang nahi ho sakta

Is me to dard hai

zindagi hai.........

Udaasi hai..........

Josh hai..............

Taaqat hai..........

Rang me jaan to nahi hota

Rang me toofan to nahi hota

Rang me ranj to nahi hota

Rang me zarb to nahi hota


Lekin Ab!

Meri aankhen khul chuki thein

Meri rooh zindagi paa chuki thi

Mera qalb roushan ho chala tha

Haan!

Main ab jaag raha tha

Seher jaa chuka tha

Badal chant chuke the

Aur phir

Dard hi dard

Karb hi karb

Cheenkho pukaar

Andhera aur sannata


Meri pareshaani ne sada lagai

Gile aur shikwe kiye

Ke!

Mujhe kisne jagaya hai

Meri haseen waadi se

Mujhe kis ne nikaala hai

jawab do


Achanak! Ek sada aai

Pur asar sada

Pur kashish sada

Pur khatar sada

Pur nazar sada


Wahi laal rang!!!

Mera sawal....

Aaho naale me dooba tha.

Tum kaun ho?


Lahoo!

Jo tere ragon me bahtaa hun

Jo teri duniya me syaah hai

Jo teri duniya me paani hai

Main wahi lahoo hun...

Jo yahan aankhon se tapakta hai

Haan! Main hi hun

Tumhara mujrim

Lekin is jurm par

Mujhe fakhr hai


Main tumhe roz jagata hun

Manzil ka pata batata hun

Khwaabe ghaflat se

Nikaal laata hun

Tilism tod deta hun

Haqeeqat aashkaar karta hun

Main tum me hi rachta hun

Main tum me hi basta hun......

9 comments:

  1. Dear Mujahid Bhai,
    Aswk,

    For a starter, This composition is Excellent. I give full marks to you..,

    Mere hamesha se hi manna hai, ke ek shair ka kalaam,
    uski shaksiyat, uski sonch, uski fikr, uske kirdaar ko vazeh kardeta hai.
    Jo dard is nazm ko parh ne se hua hai, Kaash iska ehsaas insaniyat ko ho.
    Tabhi lahoo ke regon mein daudne ki koi wajah hogi, warna to yeh bemazaa paani
    jo un bemaine saanson ko hawaa deneka zariya hai.
    .. Ghalib ka kehna yaad aata hai,

    "Ragon mein daudte phirne ke hum nahi qaayil,
    Jo aankh se na tapka wo lahoo kya hai."

    Allah Willing, Please continue to write

    Syed Tahseemuddin(Aadil)

    ReplyDelete
  2. ASAK Mujahid bhai,
    Masha Allah, very beautiful composition.
    Simple yet powerful. Please keep writing.

    ReplyDelete
  3. Assalamalaikum dear Mujahid Bhai,
    "INQILAAB"
    The call from the inner self. I am visualising the same feelings of Allama Iqbal's 'Qudi' in your 'Lahoo'. The dyanamism of Lahoo is the factor which prevails upon the history. May Allah(swt) provide you success here and hereafter.

    Siddiqui

    ReplyDelete
  4. Asak ...
    Wonderfully written ...
    The feeling goes deep down the heart and stirs the soul .... Allah swt aapko aise hi likhte rehne ki taufeeq ata farmayein (aameen) ....
    Zaid.

    ReplyDelete
  5. Wah miya.. kya shayarana andaaj hai...

    ReplyDelete
  6. Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
    Par nahi taqat-e-parwaz magar rakhti hai
    Keeep it up. God bless u
    Ammi

    ReplyDelete
  7. lahoo ke kater lahoo ke katre...........

    bahut khoob... kya likha hai mujahid bhai....
    aise hi aur bhi shayariyan pesh hon...
    intezaar hai....

    ReplyDelete
  8. assalam
    excellent, super, fantastic

    ReplyDelete
  9. Bahut Khub bhai.....
    Choo liya dil aapke iss sher ne....
    Humein to pehle hi pata tha..
    aap me bahut baat hai....
    Intezaar rahega aapke agle sher ka..
    diwana bana diya aapne...
    Ek shiqayat hai aapse...
    Jis chehre pe kabhi dard nahi dikhta... wo aise nagme likhe... zara andaaz badalein aap..
    soch me to dubo diya... ab romani karne ka bhi jimma aap par hai.....

    ReplyDelete