Main!
Apni duniya me gum tha
Ek Khwaab!
Jahan musurahat thi
Haseen muskuraahat
Chehre par tabassum
Jisne mujhe apni aaghosh me
Dhaanmp rakha tha
Kitni khushnuma thi wo waadi
Kitni seher aamez
Kitni pur fareb
Jahan Dard Gumnaam tha
Hawaen zehen par jadoo chalati thi
isqo aashqi ke naghme sunaati thi
Na jaane kyun aur kab
Kisi ne jaga diya
Mere jismo jaan ko hila diya
Dil par ek nashtar chala diya
Mujhe haqeeqat bata diya
Main pareshaan ek ajnabee ki tarah
Jise dekhta tha
Jahan dekhta tha
Ajeeb lagta tha
Sawal karta tha
Kya yeh wahi duniya hai
Jahan mai jeeta hun
Kaifiyat aisi ke
Sab kuch naya ho
Sab kuch badal sa gaya ho
Meri duniya me
Aashiyan to jale na the
hamsaaye to ghamgeen na the
Tamannaen to luti na theen
Wahan to!
Khushboo thi
Shaadabi thi
Husn tha
Rang tha
Lekin yeh laal rang?
Nahi!
Yeh rang nahi ho sakta
Is me to dard hai
zindagi hai.........
Udaasi hai..........
Josh hai..............
Taaqat hai..........
Rang me jaan to nahi hota
Rang me toofan to nahi hota
Rang me ranj to nahi hota
Rang me zarb to nahi hota
Lekin Ab!
Meri aankhen khul chuki thein
Meri rooh zindagi paa chuki thi
Mera qalb roushan ho chala tha
Haan!
Main ab jaag raha tha
Seher jaa chuka tha
Badal chant chuke the
Aur phir
Dard hi dard
Karb hi karb
Cheenkho pukaar
Andhera aur sannata
Meri pareshaani ne sada lagai
Gile aur shikwe kiye
Ke!
Mujhe kisne jagaya hai
Meri haseen waadi se
Mujhe kis ne nikaala hai
jawab do
Achanak! Ek sada aai
Pur asar sada
Pur kashish sada
Pur khatar sada
Pur nazar sada
Wahi laal rang!!!
Mera sawal....
Aaho naale me dooba tha.
Tum kaun ho?
Lahoo!
Jo tere ragon me bahtaa hun
Jo teri duniya me syaah hai
Jo teri duniya me paani hai
Main wahi lahoo hun...
Jo yahan aankhon se tapakta hai
Haan! Main hi hun
Tumhara mujrim
Lekin is jurm par
Mujhe fakhr hai
Main tumhe roz jagata hun
Manzil ka pata batata hun
Khwaabe ghaflat se
Nikaal laata hun
Tilism tod deta hun
Haqeeqat aashkaar karta hun
Main tum me hi rachta hun
Main tum me hi basta hun......